Thursday, 14 October 2021

 

 

BARSANE KI LATHMAAR HOLI

 

2018 me Barsane ki Lathmaar holi dekhne ka shauk tha charraya,

Fir kyat tha, ja pahuncha Barsane.

Bhir itni ki na dekhi pehle Jeevan me!


Jaise taise cheerta bhir ko, pahuncha Radha Mandir,

Aaya ik jhonka bhir ka, dhakke se hua mandir ke bahar!

Hairran hua yeh jaanke ki, batua ho gaya ghayab!

Paison ki parwah na thi par ID kahan se laaunga.


Thora ghabraya par himmat na haari,

Gaya dobara mandir ke ander, Haath jorkar kari prarthna,

Hey Radha Rani, tu bhi sachi, mein bhi sacha,

ID karwa de mera vapis!


Bhir ka dhakka abke jo aaya, ja pahuncha bahar gali me.

Radhe Radhe japta japta ja  pahuncha gari  group ke pass,

Bheega tha sar se paon tak, rang-birangi surat lekar,

Raat ko pahuncha Panipat apne ghar!


Beete thy din chaar, dakia laya ik lifafa, naam tha jis par mera likha.

Khol ke dekha toh nikla ID! Tha toh voh ik pocketmaar,

Par tha bara hoshiar. ID ke sath ik chit par likha tha

300 meine rakh lie, bimaar Maa ke khane aur dwai ke lie!!

Radhe Radhe!

 

No comments:

Post a Comment